My Favorite Poetry
Humnay Khuda Say Ik Dua Mangee
Dua Mein Apnee Moot Mangee,
Khuda Nay Kaha,
Moot To Mein Day Doon Tujhay
Per Kia Kahon USS Say,
Jis Nay Teree Lambee Umer Kee Dua Mangee.
Tumharay na honay se kuch nahi badla
yeh suraj bhi wahi se nikalta hai
asman par taray bhi nikaltay hai
aur chaand ki chadni bhi hoti hai
hawaye bhi chalti hai
pair(tree) par patay bhi hai
dariya bhi bhetay hai
phool bhi khiltay hai
phoolo mai khushbu bhi hai
lakin na janay kyun???
tumharay na honay ki wajah se
har cheez adhoori si lagti hai
har subha, shaam si lagti hai
har muskaan, udaas si lagti hai
har mehfil anjaan si lagti hai
har dharkan bay-jaan si lagti hai
har behnay wali sheh(cheez) sharab si lagti hai
har awaz tumharay naam ki lagti hai
|