Yehi Wafaa ka silah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai k tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e- dil main chupa k tumko
Woh ghar tumne chor diya hai, to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tord diya hai, to koi baat nahi
Kis k majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai, to koi baat nahi