|
Kaha.N aa ke rukey thai rastey kaha.N maud.r tha
Kaha.N aake rukey thai rastey, kaha.N maud.r tha osey bhool ja
jo mil gaya osey yaad rakh jo nahi mila osey bhool ja
voh tere naseeb ki baarishai.N kisi aur ki chahat par baras gai.N
dil-e-bai_Khabar meri baat sun osey bhool ja osey bhool ja
kiun aTa howa hai ghubaar main, gham-e-zindagi kay fishaar main
wo jo darj tha tairay baKht main, so wo ho gaya, usay bhool ja
(aTa = covered, darj = written, fishar= anarchy, baKht= luck)
na wo aankh hi tairi aankh thee, na wo khwab hi taira khuvaab tha
dil-e-muntazir to yeh kis liyay, taira jagna, usay bhool ja
yeh jo raat din ka khail sa, usay daikh, us pay yaqeen na kar
nahi aks ko bhi mustaqil, sar-e-aaina, usay bhool ja
jo bisat-e-jaan hi ulaT gaya, wo jo raastay say palat gaya
usay rooknay say hasool kia, usay mat bula, usay bhool ja
to yeh kis liayy shab-e-hijr kay usay har sitaray main dhoondna
wo falq kay jis pay milay thay hum, koi aur tha, usay bhool ja
mai.N to gu`m tha tere he dhiyaan mai.N, teri aas mai.N, tere gumaan mai.N
hava keh gai mere kaan main mere saath aa osey bhool ja
tujhey chaand bun ke mila tha jo tere sahiloo.N pay khila tha jo
voh tha ik darya visaal ka so utar gaya osey bhool ja
Poet: Basheer Badar
|