|
Mai.n Hosh mai.n tha tu os par mar gaya kaisey
Main hoosh mein tha tu os peh mar gaya kaisay?
Yeh zehar mere laho mein utar gaya kaisay?
Kuch oske DiL mein lagwat zaror thi warna,
Woh mera haath daba kar guzar gaya kaisay?
Zaror os ki tawajah ki rahbari ho gi,
Nashay mein tha tu main apne hi ghar gaya kaisay?
Jissay bhulaaye kayi saal ho gaye WaSeE*
Main aaj os ki gali say guzar gaya kaisay?
Main hosh mein tha tu os peh mar gaya kaisay

Last edited by Cyborg; 04-21-2007 at 12:11 PM.
|