na shikyataiN na gila karey koi aisa shaKhz bhi hova kare
jo mere liye he saja karey jo mujh se he bataiN kia karey
kabhi roey jaaey voh bay_panah kabhi bay_tahasha udas ho
kabhi chupkey chupkey dabey qadam mere peechey aakay hansa karey
meri qurbataiN meri chahtaiN koi yaad rakhey qadam qadam
main taveel safar main hooN agar meri wapsi ki dua karey