Dun know abt the 1st line of last shair if some one can find out plz let me know.
Khuvaab_nagur hai aankhai.N kholey dekh rahaa hoo.N
us ko apnii jaanib aatey dekh rahaa hoo.N
(Khvaab-nagar : city of dreams)
kis kii aahaT qarya qarya phail rahii hai
deevaaro.N ke rang badaltey dekh rahaa hoo.N
(qarya : villages and town)
kaun mirey jaadoo se bach kar jaa saktaa hai!
aainaa hoo.N, sab ke chehrey dekh rahaa hoo.N
darvaazey par taiz havaaoo.N kaa pahraa hai
ghar ke andar chup ke saaey dekh rahaa hoo.N
jaisey meraa chehraa mere dushman kaa ho
aaiiney mai.N Khud ko aise dekh rahaa hoo.N
manzar manzar veeraanii nay jaal taaney hai.N
gulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa hoo.N
manzil manzil ho'l main.N Doobii aavaazai.N hai.N
rastaa rastaa Khauf ke pahrey dekh rahaa hoo.N
shehr-e-sangdlaal (?) meN “Amjad†har raste par
aavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa hoo.N
Amjad Islam Amjad