Awam ki awaaz k liye kaan band kar diye
Hakimon ne aiwanon k darwaze bhi band kar diye
Ja kar karen ab hum fariyad kis se
Zalimon ne hamare munh bhi band kar duiye
Aaj kal k dor main zar zameen ki dorr main
Halal rozi k raaste bhi band kar diye
Adalaton ka hai bura haal bikta hai insaaf
Munsif bhi yahan k sarkash ho gaye
Hoga naye qanoon ka itlaq nayi shariyat ka nifaz
Aalimon ne yahan qanoon apne bana liye
Aurton ne lathen le leen mard ne chooriyan pehn leen
Yeh kiya zulm surkhi walon ne kiye
Garmi main pakti hai insaanon ki fasal
Yeh karam bijli walon ne hum pe kiye
Deel walon ko dheel wardi ka muamla
Kai baar yeh alfaaz humain sunai diye
Suna tha jhoot k paoon nahin hote
Humain to un k sar bhi dikhai diye
Pursaan-e-haal nahin awam ka koi
HASSAN yeh kis dor main tum aagaye