Farz Karo ..........
Farz karo tum chat par bethi dhoop main baal sukhati ho
Farz karo ke dhoop ka us din kuch kuch rang gulabi ho
Farz karo yun bethey bethey gehri soch main kho jaao
Baal sukhaney bhool kar sar ghutnon par rakh kar so jaao
Farz karo us neend main tum ne dekha aisa sapna ho
Be-kal ho kar man ye chahe kash ye sapna apna ho
Farz karo kamrey main bethi tum afsana likhti ho
Afsaney ke hero ko shaair dewaana likhti ho
Afsaney ki heroine bhi afsaney hi likhti ho
Farz karo wo dekhney main bhi nirmal komal lagti ho
Farz karo afsaney ka unwaan tumhara sapna ho
Aur afsaney ka anjaam tey na kar paao ke kesa ho
Farz karo tum khat likhney ki khwahish man main paati ho
Likhney se pehley tum khat par khushboo khoob lagati ho
Farz karo alqaab par aa kar haath tumhara ruk jaaye
Aankh tumhari dhak dhak kartey dil ki jaanib jhuk jaaye
Farz karo ik naam likho, likh kae kato or phir likho
Farz karo wo naam tumharey apney us shaair ka ho
Farz karo har ik mafrooza goya aik haqeeqat ho
Farz karo "Sapney" "Afsaaney" "Khat" ka naam mohabbat ho
Farz karo ye saari baaten farz na karni parti hon
Farz karo man ke aangan main aashaayen hi basti hon
Farz karo ham donon ka dil bas ik saath dharakta ho
Farz karo, par kiun tum aakhi farz karo..............
Last edited by Cyborg; 05-19-2007 at 08:36 AM.
|