Qatra qatra dil main aansoo girtey hain
Qatra qatra dil main aansoo girtey hain
Ik aansoo us shakhs ka jo begana hey
Ik aansoo us naam ka jo ham le na sakey
Ik aansoo us dua ka jo poori na hui
Aik fuzool si baat ka jo be-sood kahi
Aansoo mera khwab main jis se ghabraoon
Aansoo meri muraad jisey main behlaoon
Ik aansoo us chehrey ka jo yaad rahey
Aankhon ke rastey jo dil main utar jaaye
Ik aansoo us thehrey thehrey lehjey ka
Ik aansoo us wehem ka jo dil main aaya
Ik aansoo us jhoot ka jo auon se kaha
Pheeki hansi se kesey qissa khatam kiya
Lamha lamha raat guzarti jaati hey
Qatra qatra dil main aansoo girtey hain
|