|
Naa Janey voh mere baad
Naa janey voh mere baad kia kartee hogee
alam-e-tanhaee mai.N kabhi hanstee kabhi rotee hogee
buhat waqt guzara tha jis ke saath
abb voh tanhaee mai.N kia kartee hogee
kabhi jab zikr meraa chid.r jata hoogaa
khayaloo.N ke samandar mai.N tairtee hoogee
aur judai ke barey mai.N sooch sooch kar
meri tarah voh bhi aag mai.N jaltee hoogee
bay_taab hoo.N mai.N os se milney ko
mujh se milney ko voh bhi machaltee hoogee
aab to is aas pay jiye jaatey hai.N hum
kabhi na kabhi to mulaqaat hoogee
aksar is sooch mai.N gum rehta hoo.N mai.N
naa janey mere baad voh mere baad kia kartee hoogee
Annonymous
|