|
some jokes in urdu
Mother:Beta dhoop main khade kiya kar rahe ho
Son:Ammi paseena sukha raha hooon
*******************************************
Ek bacha apney abba kai saath English movie dekh rahaa tha.
Bacha: Abu, in logon nei chahrey pey rangon kyoon lagaya hai?
Abu: Aisa jang mein hota hai. Yeh hamlai ki tayyari kar rahein hai.
Thori der baad bachey ki ammi aai make up laga kai.
Bacha: Abu abu hoshyaar rahiye, ammi hamley ki tayyari kar rahi hain...
*******************************************
nai dulhan apney mian sey kahti ha, mainey do dishen banaaney ka mahaarat haasil ki hai, ek murghi ka salan aur ek gajar ka halway. aaj aap ke liye meiney yeh donon banaai hain.
Mian: bohot khoob. ab yeh batao, inn mein sey murghi ka saalan kaun sa hai aur gajar ka halwa kaun sa?
|