Apni aankhoo.N pay lag gaya chashma
oski aankhoo.N mai.N isqadar dekha
osnay hargiz na lift dee humko
hum nay kitna he bun_sanvar dekha
Naseem Sehar
Mehboob wada kar ke bhi aaya na doostoo.N
kiya kiya na yaroo hum nay kia oskey pyar mai.N
murghey chura ke chaar jo laey thai "Popular"
do arzoo mai.N cut gaey do intizar mai.N
Popular MeerThi
Bola dukaandar kia chahiye tumhai.N!
jo bhi kahoo gay pao gay meri dukaan par
mai.N kaha kuttey ke khaney ka cake hai?
bola yahee.N pay khao gay ya lay ke jaoo gay
Saghir Khayami
Agarchay poora musalmaa.N to nahi laikin
mai.N apney deen se rishta to jod.r sakta hoo.N
namaz-o-roza, hujj-o-zakat kuch na sahi
shabb-e-raat pataKha to chod.r sakta hoo.N
Prof. Dilavar Figar
Tohfa shabb-e-raat kia tum ko doo.N jaan-e-mun
tum to Khud abhi ek pataKha hooo!!!