Thread: Hasna mana hai
View Single Post
  #1 (permalink)  
Old 05-07-2006
Sana's Avatar
Sana Sana is offline
Freshman
Points: 2,468, Level: 4 Points: 2,468, Level: 4 Points: 2,468, Level: 4
Activity: 0% Activity: 0% Activity: 0%
 
Join Date: May 2006
Location: UAE
Gender: Female
Posts: 31
Rep Power: 3
Sana is on a distinguished road
Thumbs up Hasna mana hai

Kuch aisa kar duniya mein kadardaan meherbaan
jis gali sey guzrey awaz aaye abba jaan abba jan


Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay?
Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay


Mohabbat mujhay un jawano se hai
Jo khatay peetay gharano se hain


Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya
Kehta tha saath jiyen gay saath marain gay
Ab rooth gayi hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi aya.

Hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar per
Sadqay jaoo tumhari patli kamar per

Tum bhi becahara,
hum bhi becahara
Fittay mu tumhara,
fittay mu hamara


Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo


Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao

Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain


Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho


Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar


Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file